widaa karta hai dil satwat-e-rag-e-jaan ko khabar karo mere khwabon ke shab-sulaiman ko muhit-e-jaan na koi zaiqa na sabza-e-shab talash karti hai khushbu kisi gareban ko mujhe ye fasl-e-khizan-khwab kat lene do ki phir na nikle koi dusra bayaban ko lahu ko aankh mein rahne ka zom tha warna tapak bhi sakta tha bahla ke dil ke tufan ko mujhe to gham bhi panah zad hi lage ab to ki aa nikalti hai hasrat bhi sair-e-mizhgan ko kisi udu ki murawwat se ab bhi taza hain wo zakhm-e-khwab ki jo dhundte hain paikan ko hisab us ki mohabbat ka harf harf karun jo aa gaya tha meri tishnagi ke saman ko