na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun

na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
kasi kaam mein jo na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun
i'm not the light of any eye, for me none has a care
no use to anyone am i, dust merely scattered there
na dawa-e-dard-e-jigar hun main na kisi ki mithi nazar hun main
na idhar hun main na udhar hun main na shakeb hun na qarar hun
i'm no song of blithe intent,why should ears be lent
i am a pain-laden lament, i'm just a plaintive prayer
mera waqt mujh se bichhad gaya mera rang-rup bigad gaya
jo khizan se bagh ujad gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun
my face is truly ugly, scarred, from love i have been barred
the product of a garden marred, in midst of bloom laid bare
pae fatiha koi aae kyun koi chaar phul chadhae kyun
koi aa ke shama jalae kyun main wo bekasi ka mazar hun
why should people come and mourn, with flowers why adorn
incense too why should they burn, at a tomb of deep despair
na main lag hun na lagaw hun na suhag hun na subhaw hun
jo bigad gaya wo banaw hun jo nahin raha wo singar hun
---
---
main nahin hun naghma-e-jaan-faza mujhe sun ke koi karega kya
main bade birog ki hun sada main bade dukhi ki pukar hun
na main 'muztar' un ka habib hun na main 'muztar' un ka raqib hun
jo bigad gaya wo nasib hun jo ujad gaya wo dayar hun
This is a great sad shayari not love. True lovers of eye shayari urdu will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore shayari for friends in hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close