tumhaare chehre pe dhyan aise tika hua hai tamam samton ko ek jaanib rakha hua hai hare darakhton se belen kaise lipat rahi hain zamin par aasman kaise jhuka hua hai wo ek ladki jo mar rahi hai haya ke mare wo ek ladka jo dekhne par tula hua hai shab-e-visal us ka surkh aanchal musalla kar ke badan-wazife ka wird jari rakha hua hai tu sirf wahshat ke dam pe dil-dasht mein na aana ye ism bhi raegan hai mera padha hua hai phir us ke baad us ne meri aankhen bhi gili kar din main puchh baitha tha teri aankhon ko kya hua hai ye waqt-e-maghrib se qabl ka aaftab 'sarmad' ye us ke hathon mein kaise kaise laga hua hai