purane ghar se nikal kar nae makan ki samt bahut se log gae ek ajab jahan ki samt pukarta hai jo sadiyon se hum ko ai yaro chalo chale chalen us tute saeban ki samt jo ek umr se rahta tha barf-zaron mein chala hai kis liye jalti hui chattan ki samt mila tha rah mein baitha jo ek din hum ko suna hai ja chuka wo shakhs aasman ki samt mera jahaz jo pahunchega us jazire mein na koi ghaur se dekhega baadban ki samt kabhi jo socha hai haq baat kah dun ai 'asad' badhi hain qainchiyan kitni meri zaban ki samt