nahin kuchh intiha afsurdagi ki

nahin kuchh intiha afsurdagi ki
yahi hai rasm shayad aashiqi ki

lab-e-lalin pe ye lahren hansi ki
yahi dube na kashti zindagi ki

dhale aansu ki ye tute sitare
sukut shab mein yaad aai kisi ki

chaman mein buta buta dekhta hai
adaen in ki mastana rawi ki

badhae ja qadam zauq talab mein
shikayat kar na ijz-o-khastagi ki

isi ka nam shayad zindagi hai
khushi ki ek ghadi to ek ghami ki

sukun-e-sahil-e-dariya ka arman
karo baaten na ye kam-himmati ki

mila kar aankh phir aankhen churana
ada-e-khas hai ye dilbari ki

ata ho to ata ho dard aisa
ho lazzat jis mein soz-e-daimi ki

abhi hai nur-o-zulmat ki kashakash
abhi hai dur manzil aagahi ki

hayat-e-chand-roza apni 'najmi'
hai taswir-e-mujassam bebasi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close