sair-gah-e-duniya ka hasil-e-tamasha kya rang-o-nikhat-e-gul par apna tha ijara kya khel hai mohabbat mein jaan o dil ka sauda kya dekhiye dikhati hai ab ye zindagi kya kya jab bhi ji umad aaya ro liye ghadi bhar ko aansuon ki barish se mausamon ka rishta kya kab sar-e-nazara tha hum ko bazm-e-alam ka yun bhi dekh kar tum ko aur dekhna tha kya dard be-dawa apna bakht na-rasa apna ai nigah-e-be-parwa tujh se hum ko shikwa kya be-sawal aankhon se munh chhupa rahe ho kyun meri chashm-e-hairan mein hai koi taqaza kya haal hai na mazi hai waqt ka tasalsul hai raat ka andhera kya subh ka ujala kya jo hai ji mein kah dije un ke ru-ba-ru 'akhtar' arz-e-haal ki khatir dhundiye bahana kya