dida-e-sang mein binai kahan se aae zarf murda ho to sachchai kahan se aae pyar tamir ho jab bughz ki buniyaadon par milti nazron mein shanasai kahan se aae gum hain rangon mein khad-o-khal bhi taswiron ke pas-e-parda ka tamashai kahan se aae meri har soch ke raste mein khada hai koi aaina-khane mein tanhai kahan se aae meri aawaz khamoshi ne mujhe lauta di mujh mein ab jurat-e-goyai kahan se aae koi bhi dekhna chahe na kisi ko zinda khun ke pyason mein masihai kahan se aae is qadar shauq dar-amad hai 'muzaffar' hum ko sochte rahte hain ruswai kahan se aae