pahle to dar laga mujhe khud apni chap se phir ro diya main mil ke gale apne aap se dekha hai han use hai wo kuchh milta julta sa mutrib ki mithi mithi surili alap se thi baat hi kuchh aisi ki diwana ho gaya diwana warna banta hai kaun apne aap se rahna hai jab harif hi ban kar tamam umr kya faeda hai yar phir aise milap se aaya idhar khayal udhar mahw ho gaya kahne ko tha na jaane abhi kya main apne aap se hum aur lagaen apne padosi ke ghar mein aag bhagwan hi bachae hamein aise pap se 'naushad' raat kaisi thi wo mahfil-e-tarab lagti thi dil pe chot si table ki thap se