wo mah-wash hai zamin par nazar jhukae hue sitare baithe rahen mahfilen sajae hue gae the kitni umangon ko le ke sine mein jo teri bazm se utthe to sar jhukae hue hamein bhi pyar se dekho ki hum hain khasta-jigar gham-e-zamana ke mare hue satae hue hamein to ek nahin kushta-e-maal-e-karam kuchh aur bhi hain fareb-e-nigah khae hue khayal-e-duri-e-manzil thaka bhi deta hai chale chalo abhi aage qadam badhae hue kabhi jo rahte the sar-mast-e-nashtar-e-gham-e-dost wo ja rahe gham-e-jaan se munh ki khae hue