sirf baaton se bahal jaane ka qail to nahin dil mera sada hai ehsas se ghafil to nahin war karta hai nazar se yahi qatil to nahin chot kha kar jo tadapta hai mera dil to nahin shor-o-ghul badhta hi jata hai mere kanon mein dil mein jo hai wahi tufan lab-e-sahil to nahin qafile walon ne bistar jahan apne khole sach to ye hai wo mere nam ki manzil to nahin samna ho to pata bhi chale phir kaun hai kya main ne mana ki koi mere muqabil to nahin mahfilen aur bhi hain husn-o-ada ki lekin teri mahfil ki tarah ab koi mahfil to nahin hum to tayyar hain ek hashr uthane ke liye aap khud hi kisi tufan se ghafil to nahin dur hi se nazar aa jata hai 'jami' tera bhid mein rah ke bhi wo bhid mein shamil to nahin