na mehnat ki ho gar main ne mujhe tabinda mat karna magar nakaam hone par mujhe sharminda mat karna mujhe dekhoge to tum ko ye thappad yaad aaega jo harakat tum ne ki hai aaj wo aainda mat karna nahin hai husn mein ehsas tum bhi is se ho jao aur apne narm ehsasat ko raqsinda mat karna fana se ishq hai mujh ko baqa se sakht nafrat hai kahin hasti meri mere khuda painda mat karna tamanna phir se jine ki nahin dil mein mere allah mujhe marne pe kar de khatm aur phir zinda mat karna