nazara kar but-e-pur-fan hamara ki tan daghon se hai gulshan hamara hai ishq-e-zulf mein khana-badoshi kahen kya hai kahan maskan hamara jo roe yaad-e-dandan-e-sanam mein to pur-gauhar hua daman hamara buton ki sakhtiyan sahne ko ya-rab banaya kyon na dil aahan hamara hamari ye wasiyyat hai dam-e-marg ki ku-e-yar ho madfan hamara jawani mein mohabbat ki lagi aag jala kis waqt mein khirman hamara zamin-o-asman tharra rahe hain sada-e-sur hai shewan hamara ek aahu-chashm ki ulfat mein 'sabir' bayaban ho gaya maskan hamara