na-munasib hai khafa nalon ko sun kar hona abhi aaya hi nahin tum ko sitamgar hona hai sitam ka ye karam aah nahin karte hum warna aasan na tha sabr ka khugar hona nahin rahti koi rok ahl-e-junun ke aage koi diwar ho shaq ho ke use dar hona ro pada main bhi pasija jo wo but nalon par qabil-e-rahm hai insan ka patthar hona aa ke samjhae wo taskin ka pahlu hum ko man lenge dil-e-betab ka patthar hona gor mein dafn kiya jab na ruke zindan mein kis tarah dekhte diwanon ka be-ghar hona qissa-e-tur-o-kalim aap sunate hain fuzul nahin mumkin jo tajalli ka mukarrar hona chhod kar daira-e-haq ko na jae 'raghib' kufr hai silsila-e-shaikh se bahar hona