na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai

na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai
nai duniya ke rindon mein khuda ka nam chalta hai

gham-e-ishq se hain gham-e-hasti ke hangame juda lekin
wahan bhi din guzarte hain yahan bhi kaam chalta hai

chhupe hain lakh haq ke marhale gum-nam honton par
usi ki baat chal jati hai jis ka nam chalta hai

junun-e-rah-rawi-e-waqt ki raftar se puchho
koi manzil nahin lekin ye subh o sham chalta hai

'shakil'-e-mast ko masti mein jo kahna hai kahne do
ye mai-khana hai ai waiz yahan sab kaam chalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close