yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein koi shahr shahr-e-wafa bhi tha usi sar-zamin-e-khayal mein mere dil ke khun ki misl tha tujhe yaad hai mere dilruba koi rang rang-e-hina bhi tha tere naqsh-ha-e-jamal mein na wo jhankna hai gali gali na wo takna hai kali kali na kasak hai hijr ke dard mein na damak hai shauq-e-visal mein koi ek chamak mere dil ko de ki safar hudud-e-zaman ka hai koi ek saat-e-raushni meri gardish-e-mah-o-sal mein mujhe sharq-o-gharb se kaam kya ki maqam-e-shauq guzar gaya ye khilae dil ke hain daere ye safar hai ab mera haal mein wo jo rah-e-zulm pe aandhiyon mein charagh le ke nikal pade wo zawal-e-asr ke sar-buland kahan hain asr-e-zawal mein ye jo tirgi ka tilism hai yahi raushni ka bhi ism hai hua 'baqar' aap ke qaul ka bhi shumar qaul-e-muhaal hai