zakhmi na bhul jaen maze dil ki tis ke lillah chhidke jao namak pis pis ke ghussa hai zahr haq mein dil-e-be-anis ke almas piste ho abas dant pis ke maili nigah hoti hai aaina dekh kar nazzare muddaton se hain ru-e-nafis ke khalwat mein hi tasawwur-e-jaanan nadim hai talib jalis ke hain na khwahan anis ke mani na pae jauhar-e-shamshir-e-yar ke tukde jigar ke ho gae tukde kasis ke phika hi zaiqa dahan-e-zakhm ka raha kya bad-maza hua main namak pis pis ke pir-e-falak kisi ko na dega zar-e-nujum yani diram hain ye kaf-e-dast-e-khasis ke kat kat gaya main dekh ke mazmun-e-qatl ko ai but qalam hon hath tere khush-nawes ke das bis har mahine mein abru nazar pade is sal sare chand hue tis tis ke harf aa gaya shikastagi-e-dil ke likhne mein tute qalam hazaron shikasta-nawes ke likhte hain chhup ke katib-e-amal sab ka haal aamal-nama parcha hain khufya-nawes ke maktub mein ibarat-e-rangin likho 'munir' fiqre nahin pasand daqiq-o-salis ke