na paya kuchh pata us ka khuda jaane kahan hai wo zamane bhar mein dhund aaya khuda jaane kahan hai wo muazzin se jo puchha hath rakh kar us ne kanon par kaha mujh ko khabar hai kya khuda jaane kahan hai wo use mandir mein dhund aaya use masjid mein dekh aaya nahin milta nishan us ka khuda jaane kahan hai wo use main ban ke aashiq sare mashuqon mein dhund aaya nazar aaya na kuchh jalwa khuda jaane kahan hai wo zamin-o-asman kaun-o-makan dair-o-haram dekha nahin milta pata us ka khuda jaane kahan hai wo papiha pi kahan bola kaha koyal ne tu hi tu samajh mein kuchh nahin aata khuda jaane kahan hai tu kahan se pi ke aae ho bahut bahke ho tum 'asghar' kahan banda kahan maula khuda jaane kahan hai tu