na ye qarib hain duniya ke aur na din ke pas

na ye qarib hain duniya ke aur na din ke pas
ye mere dost hain rahte hain aastin ke pas

wo log bhi hamein shak ki nazar se dekhte hain
jo ek waqt mein hote hain tin tin ke pas

lo ek mujh sa gunahgar aur aa pahuncha
bahut sa kaam to pahle se tha zamin ke pas

wo bewafa hai magar kis tarah bhula den use
hamara dil bhi to lagta hai us kamin ke pas

agar hain sikhna aadab-e-zindagi tum ko
guzaro waqt kisi boriya-nashin ke pas

hamari zat kahin us mein gum na ho jae
hum is liye nahin jate hain us zahin ke pas

ye dad ap ko lahje ki mil rahi hai miyan
hamare sher pahunchte hain samain ke pas

gunahgar hain lekin kai hawalon se
sifarish apni gai rabb-e-alamin ke pas

meri rawish se mujhe kis tarah hatana hai
yahi to kaam hai mere mukhalifin ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close