wadon hi pe har roz meri jaan na talo hai id ka din ab to gale hum ko laga lo har waqt miyan khub nahin galiyan deni kya bakte ho tum yawa zaban apni sambhaalo pahunche ko chhudaoge bade mard ho aise tum pahle mere hath se daman to chhuda lo diwane ka hai tere ye aalam ki pari bhi dekh us ko ye kahti hai koi us ko bula lo is shokh ki aankhon ke jo jata hun muqabil kahti hain nigahen ki use mar hi dalo yun phirte ho maqtal pe shahidan-e-wafa ke daman to zara hath mein tum apne utha lo jaan dalta hai 'mushafi' qalib mein sukhan ke mushkil hai ki tum us ki tarah sher to dhaalo go zamzama-e-delhi o ku lahja-e-purab kyun us ki taraf hote ho nahaq ko razalo