tadbir-e-qarar-e-subh nahin saman-e-sukun-e-sham nahin kambakht mohabbat walon ko duniya mein kahin aaram nahin wo roz nahin wo raat nahin wo subh nahin wo sham nahin jab ranj nahin afkar nahin andoh nahin aaram nahin samjhega na koi samjha hai asrar-e-jahan-e-fitrat ko ye dil ki lagi wo hai jis ka aaghaz nahin anjam nahin maghmum kiya nashad kiya bas dil ne hamein barbaad kiya qismat se shikayat koi nahin taqdir pe kuchh ilzam nahin wo lamha fana ka jaan liya paigham qaza ka man liya jab dil mein kisi ka dhyan nahin jab lab pe kisi ka nam nahin ye ishq khayal-e-kham sahi ruswa-e-jahan bad-nam sahi kya tera ghurur-o-naz bata ai husn khayal-e-kham nahin taqdir ne tera dard diya din raat jigar ka khun piya duniya mein hamara is ke siwa kuchh shaghl nahin kuchh kaam nahin tute nahin roz-o-shab mahshar kis waqt tere diwanon par kab teri nigah ko madd-e-nazar ushshaq ka qatl-e-am nahin behtar hai yahi khud uth jae mai-khana-e-hasti se 'nami' sahba-e-mohabbat hi se agar lab-rez ye dil ka jam nahin