na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai azab jhel raha hun sukhanwari kya hai ajab hai zauq-e-tamasha ki ghar jala kar log ye chahte hain samajhna ki raushni kya hai pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayat to phir ye zist waqt guzari hai zindagi kya hai main multaji hun na wo multafit magar phir bhi ye ek aag dilon mein lagi hui kya hai main dil ke dagh dikhaun ki zakhm-e-sar un ko jo puchhte hain ki mafhum-e-dosti kya hai