shikasta jism darida jabin ki jaanib kabhi to dekh mere ham-nashin ki jaanib main apna zakhm dikhaun tujhe ki main dekhun lahu mein dubi hui aastin ki jaanib in aasman-mizajon se hai bala ka gurez palat raha hun main apni zamin ki jaanib kuchh apne harf ke moti kuchh apne lafz ke phul uchhaal aaya hun us naznin ki jaanib kisi ki chashm taaqub ki zad mein rahta hun main dekhta hun jab us mah-jabin ki jaanib khud apne hone pe mujh ko yaqin hai lekin main dekhta hun guman se yaqin ki jaanib masaf-e-jaan mein khada hun mere adu se kaho wo dekhta hai yasar-o-yamin ki jaanib kisi ne tham li badh kar mere faras ki rikab kisi ne hath badhaya tha zin ki jaanib khud apne fan ka ye 'shahid' kamal hai naqqad wo dekhta hi nahin naqidin ki jaanib