zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho daur aisa hai ki pine ko bhi pina na kaho na batao ki tabassum bhi hai ek zakhm ka nam chaak hai kis liye insan ka sina na kaho kam-nigahon ka hai farman ki ai dida-waro kis liye tum ko mila dida-e-bina na kaho rakh do ilzam kisi mauja-e-masum ke sar na-khudaon ne duboya hai safina na kaho har nafas maut ki bakhshi hui mohlat jaise koi jina hai ye jina ise jina na kaho ye to fankar ki mehnat ka sila hai yaro mere mathe ke pasine ko pasina na kaho sang-rezon ko kahin thes na lag jae 'shamim' maslahat hai ki nagine ko nagina na kaho