tumhaare aariz-o-lab ki misal ban ke rahe hawas hai gul ko ki sahib-jamal ban ke rahe khuda hi jaane mohabbat bhi kya qayamat hai samae dil mein to ji ka wabaal ban ke rahe ye aarzu hai tum ab samne bhi aa jao bahut dinon mere dil mein khayal ban ke rahe tamam umr kati hai isi tamanna mein ki koi lamha-e-khush mah-o-sal ban ke rahe mera nasib ki jab chain ki ghadi aae nigah-e-dost bhi 'ain-ul-kamal ban ke rahe wahi hai baat jo sab ke gale utar jae wahi sukhan hai jo sahr-e-hilal ban ke rahe bada gharib-nawaz aur karsaz hai tu hamari bigdi bhi ai zul-jalal ban ke rahe