partaw-e-nur bhi hai jauhar-e-tanwir bhi hai aaina bhi hai mera dil teri taswir bhi hai zahr hai sab ke liye zahar-e-mohabbat lekin agar aa jae muafiq to phir iksir bhi hai mujrim-e-ishq hun qatil ka main ai dawar-e-hashr saf to ye hai ki is mein meri taqsir bhi hai kis qadar sarfa nigahon ka hua ghairon mein kahiye ab aap ke tarkash mein koi tir bhi hai kyun kiya karta hai to sama-kharashi 'natiq' sher kahta hai to kuchh sher mein tasir bhi hai