ye kya bataen ki kis rahguzar ki gard hue hum aise log khud apne safar ki gard hue najat yun bhi bikharne ke karb se na mili hue jo aaina sab ki nazar ki gard hue ye kin dukhon ne cham-o-kham tamam chhin liya shua-e-mahr se hum bhi sharar ki gard hue sab apne apne ufuq par chamak ke thodi der mujhe to daman-e-sham-o-sahar ki gard hue pukaro kah ke hamein chhanw ji na bahlega bache jo dhup se pa-e-shajar ki gard hue hamein bhi bolna aata hai phir bhi hain khamosh ki hum tere sukhan-e-mukhtasar ki gard hue dhula sa chehra bhi kuchh mand pad gaya aakhir hue na ashk teri chashm-e-tar ki gard hue sharir-o-tund hawa thi ki rau maani ki tamam lafz lab-e-mo'tabar ki gard hue ye rah kitni pur-ashob hai 'faza' na kaho qalam ki rah chale hum hunar ki gard hue