na sahi aish, guzara hi sahi yani gar tu nahin duniya hi sahi chhodiye kuchh to mera bhi mujh mein khun ka aakhiri qatra hi sahi ghaur to kije meri baaton par umr mein aap se chhota hi sahi ranj hum ne bhi juda pae hain aap yakta hain to yakta hi sahi main bura hun to hun ab kya kije koi achchha hai to achchha hi sahi kis ko sine se lagaun tere baad jate jate koi dhoka hi sahi kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun bhul jaane ka taqaza hi sahi tum pe kab rok thi chalte jate meri sochon pe to pahra hi sahi wo kisi taur na hoga mera chalo aisa hai to aisa hi sahi surkh karne lagi har shai 'jawwad' yaad ka rang sunahra hi sahi