na samjhe dil fareb-e-arzu ko na hum chhoden tumhaari justuju ko teri talwar se ai shah-e-khuban mohabbat ho gai hai har gulu ko wo munkir ho nahin sakta fusun ka suna ho jis ne teri guftugu ko taghaful is ko kahte hain ki us ne mujhe dekha na mahfil mein udu ko nahin pani to mai-khane mein ai shaikh jo kuchh maujud hai laun wazu ko samajhta hi nahin hai kuchh wo bad-khu na khud mujh ko na meri aarzu ko na bhula ghar ke aada mein bhi 'hasrat' tere farmuda-e-la-taqnatu ko