na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi nigah-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai baqi zamana guzra wo yasman-bu juda hui ham-kanar ho kar magar abhi tak hamare pahlu mein nikhat-e-yasman hai baqi bhula chuki dil se sham-e-ghurbat har ek naqsha har ek surat hamari aankhon mein lekin ab tak farogh-e-subh-e-watan hai baqi zamana badla miti jawani na wo mohabbat na zindagani bas ek bholi si yaad hai jo ba-rang-e-dagh-e-kuhan hai baqi mita diye be-sutun charkh-e-kuhan ne shirin-laqa hazaron magar mohabbat ke lab par ab bhi tarana-e-kohkan hai baqi habab-asa muhit-e-hasti mein jo hai mitne ko ban raha hai hai inqalab ek numud aisi jo zer-e-charkh-e-kuhan hai baqi gham-e-zamana ki sakhtiyon se hui hai pamal tab-e-'akhtar' na wo nishat-e-kuhan hai baqi na wo mazaq-e-sukhan hai baqi