ranj ek talkh haqiqat ka faqat hai mujh ko mere ahbab ne aanka hi ghalat hai mujh ko baad muddat ke gulabon ki mahak aai hai us ne pardes se bheja koi khat hai mujh ko mauj-e-tufan se begana hua hun phir main phir mayassar hui aasani-e-shat hai mujh ko harf ki shakl mein dhalti hain lakiren khud se aa ke deta koi paigham-e-nuqat hai mujh ko kar diya kund hawaon ki nami ne jis ko usi khanjar se lagana koi qat hai mujh ko kunj-e-tarik mein yun jhank raha hun 'rahat' jaise darkar koi baiza-e-bat hai mujh ko