us ne mere marne ke liye aaj dua ki ya rab kahin niyyat na badal jae qaza ki aankhon mein hai jadu teri zulfon mein hai khushbu ab mujh ko zarurat na dawa ki na dua ki ek murshid-e-bar-haq se hai derina talluq parwah nahin mujh ko saza ki na jaza ki donon hi barabar hain rah-e-ishq-o-wafa mein jab tum ne wafa ki hai to hum ne bhi wafa ki ghairon ko ye shikwa hai ki pita hai shab-o-roz mai-khane ka mukhtar to ab tak nahin shaki ye bhi hai yaqin mujh ko saza wo nahin denge ye aur bhi hai taslim ki han main ne khata ki is daur ke insan ko khuda bhul gaya hai tum par to 'aziz' aaj bhi rahmat hai khuda ki