na shokhiyon se kare hain wo chashm-e-gul-gun raqs ki un ke pine se karta hai wan mera khun raqs na pech-o-tab-e-hawa se hai aab mein girdab ki mere ashk ke aage kare hai jaijun raqs tawaf-e-sokhta-e-ishq dekh le ai shama kare hai jalne se aage patang-e-maftun raqs kare hai shola-e-sham-e-sahar sa lab pe mere ai aaftab-laqa khush ho jaan-e-mahzun raqs misal-e-qibla-numa fakhr fikr-e-'uzlat' se kare hai misra-e-raushan ke bich mazmun raqs