wahin ji uThte hain murde ye kya Thokar se chhuna hai

wahin ji uthte hain murde ye kya thokar se chhuna hai
wo raftar aur wo qamat qayamat ka namuna hai

ghuta aata hai dam ye ishq ne aatish hai sulgai
dil-e-sozan se ya qismat dhuan aankhon ka duna hai

are o khana-abaad itni khun-rezi ye qattali
ki ek aashiq nahin kucha tera viran suna hai

kabab-e-dil agarche sokhta hai chakh to ai kaifi
ye angaron par aah-e-atishin ne khub bhuna hai

mubassir jauhar-e-khat par kahin hain us ke abru ko
suruhi koi hai be-kal ki jis ka ab ye kuna hai

tilism ek husn khalq-allah ke aalam ka dil pe hai
phiro iran-o-turkistan faringistan-o-yuna hai

hamare aah-e-tir-e-be-kaman ne khana-e-dil se
ye rukh phera ki ta-baam-e-falak bandha sutuna hai

jahan ahl-e-wara majlis mein hon wo bakhsh lene ko
nishan naqsh-e-dani ka sath ek ladka jamuna hai

agar taswir-e-rang-e-zard-e-ashiq khub-ru dekhen
koi batlaega suna ghar ka koi kuna hai

diya main pan use ek rekhta padh kar laga kahne
ye inti khui ka kattha hai aur kankar ka chuna hai

tujhe deta hai bazi ai 'muhib' bach jaiyo us se
ki nat-khat us ke yar aur wo daghabaz ek ghuna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close