na sunne mein na kahin dekhne mein aaya hai jo hijr o wasl mere tajribe mein aaya hai nae sire se jal utthi hai phir purani aag ajib lutf tujhe bhulne mein aaya hai na hath mere na aankhen meri na chehra mera ye kis ka aks mere aaine mein aaya hai jawaz rakhta hai har ek apne hone ka yahan pe jo hai kisi silsile mein aaya hai hai waqia hadaf-e-sail-e-ab tha koi aur mera makan to bas raste mein aaya hai wo raaz-e-wasl tha jo nind mein khula mujh par ye khwab-e-hijr hai jo jagte mein aaya hai 'jamal' dekh ke jita tha jo kabhi tujh ko kahin wo shakhs bhi kya dekhne mein aaya hai