naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko kab karega shad meri khatir-e-nashad ko kis tarah ka samm-e-qatil hai ye sharbat ishq ka jaan-e-shirin zahr aakhir ho gai farhad ko rahm jab karta nahin nalon se phir kya faeda dard-mandi bulbul-e-nalan se kya sayyaad ko kaise wo khush-fahm hain patthar pade us fahm par jo jahanabaad samjhe is kharab-abaad ko ek talluq se hazaron ranj hote hain nasib fikr karte kis ne dekha hai kisi aazad ko jaante hain juzw hai iman ka hubb-e-watan be-tarah bhule watan hain kya hua ustad ko nala-o-zari mein ai 'ajiz' tu kyon masruf hai kaun sunta hai are nadan teri fariyaad ko