na tera qurb na baada hai kya kiya jae phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae hamein bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jae wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho talab karam se ziyaada hai kya kiya jae na us se tark-e-talluq ki baat kar paen na hamdami ka irada hai kya kiya jae suluk-e-yar se dil dubne laga hai 'faraaz' magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jae