taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai phir mausam-e-bahaar mere gulsitan mein hai ek khwab hai ki bar-e-digar dekhte hain hum ek aashna si raushni sare makan mein hai tabish mein apni mahr-o-mah-o-najm se siwa jugnu si ye zamin jo kaf-e-asman mein hai ek shakh-e-yasmin thi kal tak khizan-asar aur aaj sara bagh usi ki aman mein hai khushbu ko tark kar ke na lae chaman mein rang itni to sujh-bujh mere baghban mein hai lashkar ki aankh mal-e-ghanimat pe hai lagi salar-e-fauj aur kisi imtihan mein hai har jaan-nisar yaad-dahani mein munhamik neki ka har hisab dil-e-dostan mein hai hairat se dekhta hai samundar meri taraf kashti mein koi baat hai ya baadban mein hai