umr kati buton ki aadon mein ban ke patthar raha pahadon mein wo ladai mein bol uthe mujh se baat achchhi bani bigadon mein dard-e-sar ke ilaj ko wahshat khinch kar le chali pahadon mein mastiyan aur bahaar ka mausam mai ki lazzat gulabi jadon mein dukhtar-e-raz ki sharm to dekho chhup gai ja ke khum ki aadon mein tu ne pi hi nahin hai ai zahid mai ki garmi na puchh jadon mein tere gesu bhi ho gae shamil meri taqdir ke bigadon mein marg-e-dushman pe maut roti hai ye asar hai teri pachhadon mein uthte joban pe khul pade gesu aa ke jogi base pahadon mein wo gale se lipat ke sote hain aaj-kal garmiyan hain jadon mein ishq mein jaan par bani 'muztar' zindagi kat gai bigadon mein