nazar nazar se mila kar kalam kar aaya ghulam shah ki ninden haram kar aaya kai charagh hawa ke asar mein aae the main ek jugnu ko un ka imam kar aaya ye kis ki pyas ke chhinte pade hain pani par ye kaun jabr ka qissa tamam kar aaya utarti sham ke sae bahut malul se the so ek shab main wahan bhi qayam kar aaya ye aur baat mere panw kat gae lekin main shahrah ko ek rah-e-am kar aaya karun kalam kisi aur se main kya 'tariq' ki apne lafz to sab us ke nam kar aaya