na tumhaara husn jawan raha na hamara ishq jawan raha na wo tum rahe na wo hum rahe jo raha to gham ka saman raha na wo bagh hain na ghataen hain na wo phul hain na fazaen hain na wo nikhaten na hawaen hain na wo be-khudi ka saman raha na wo dil hai ab na jawaniyan na wo aashiqi ki kahaniyan na wo gham na ashk-fishaniyan na wo dard-e-dil ka nishan raha na chaman hai wo na bahaar hai na wo bulbulen na hazar hai yahi chaar-samt pukar hai na wo rut hai ab na saman raha na wo umr hai na masarraten na wo aish hai na wo ishraten na wo aarzuen na hasraten na khushi ka nam-o-nishan raha na nishan hai saqi-o-jam ka na wo baada-ha-e-chaman-ada na mughanniya rahi mahw-e-saz na saz mast-e-fughan raha ye bahaar-e-gulshan-e-ab-o-gil hai fana asar to hon kyun khajil wo gul-e-fasurda hai mera dil ki hamesha nazr-e-khizan raha nahin sabr saqiya la bhi de qadah-e-bahaar utha bhi de abhi sin hai la ke pila bhi de ki hamesha kaun jawan raha kahun kya ki ranj-rasida hun main ba-rang-e-abr ramida hun nafas-e-shamim-e-parida hun ki raha tabah jahan raha asar-e-bahaar-e-khizan asar hai ki hai fasurda meri nazar na hawa-e-ishrat-e-baal-o-par na junun-e-bagh-e-jinan raha main gul-e-ramida-e-rang-o-bu tu bahaar-e-mai-kada-e-numu main hamesha khasta-e-arzu tu hamesha aish-e-jawan raha na sukun-e-dil na qarar-e-jaan na qayam-e-sabr koi zaman ye sarishk-e-gham ka hai karwan ki yunhi hamesha rawan raha tu mata-e-gul-kada-e-nazar gul-e-nau-bahaar-e-bahisht-asar main wo andalib-e-shikasta par ki hamesha mahw-e-fughan raha na wo soz-o-saz-e-darun hai ab na wo chashm-e-gul-kada-e-gun hai ab na wo sar hai ab na junun hai ab na wo zauq-e-shoala-chakan raha hai falak ki badli hui nazar kahin kisi se 'akhtar'-e-nala-gar ki main us ke jaur-e-alam-asar se hamesha mahw-e-fughan raha