yahan se ab kahin le chal khayal-e-yar mujhe chaman mein ras na aaegi ye bahaar mujhe teri latif nigahon ki khas jumbish ne bana diya teri fitrat ka raazdar mujhe meri hayat ka anjam aur kuchh hota jo aap kahte kabhi apna jaan-nisar mujhe badal diya hai nigahon se rukh zamane ka kabhi raha hai zamane pe ikhtiyar mujhe main jab chala hun ba-in zauq-e-bandagi ai dost qadam qadam pe mile aastan hazar mujhe ye hadsat jo hain iztirab ka paigham ye hadsat hi aaenge sazgar mujhe 'aziz' ahl-e-chaman ki shikayaten be-sud fareb de gai rangini-e-bahaar mujhe