sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake tera daman dur nahin tha hath hamin phaila na sake tu ai dost kahan le aaya chehra ye khurshid-misal sine mein aabaad karenge aankhon mein to sama na sake na tujh se kuchh hum ko nisbat na tujh ko kuchh hum se kaam hum ko ye malum tha lekin dil ko ye samjha na sake ab tujh se kis munh se kah den sat samundar par na ja bich ki ek diwar bhi hum to phand na pae dha na sake man papi ki ujdi kheti sukhi ki sukhi hi rahi umde baadal garje baadal bunden do barsa na sake