na wo khizan rahi baqi na wo bahaar rahi rahi to meri kahani hi yaadgar rahi wahi nazar hai nazar jo bain-hama pasti sitara-gir rahi kahkashan shikar rahi shab-e-bahaar mein taron se khelne wale kisi ki aankh bhi shab bhar sitara-bar rahi tamam umr raha garche main tahi-pahlu basi hui mere pahlu mein bu-e-yar rahi koi aziz na thahra hamare dafn ke baad rahi jo pas to shama sar-e-mazar rahi wo phul hun jo khila ho khizan ke mausam mein tamam umr mujhe hasrat-e-bahaar rahi kabhi na bhulengi us shab ki lazzaten 'akhtar' ki mere sine pe wo zulf-e-mushk-bar rahi