na wo taeron ka jamghat na wo shakٓh-e-ashiyana tum ise khizan kahoge ki bahaar ka zamana main wafaon ka hun paikar mera jazb-e-mukhlisana mujhe aazma le hamdam jo tu chahe aazmana tu mujhe tabah kar de tu mera nishan mita de na karunga main gawara magar apna sar jhukana jo use koi sunega to bhala yaqin karega ye janab-e-shaikh hamdam ye dar-e-sharab-khana ye ata-e-ishq hi hai ki bana hun main ghazal-khwan na tha is ke pahle 'danish' mera zauq shairana