na ye zamin hai apni na aasman apna alag banaen hum apne liye jahan apna khayal-e-shikwa-e-zindan kise ai baad-e-chaman nahin bahaar se kam mausam-e-khizan apna chaman ka lutf hi kya jab ki baal-o-par na rahe bana liya hai qafas hi ko aashiyan apna hain sakht-jaan hum un ki kalaiyan nazuk ye imtihan hai un ka ki imtihan apna hai zindagi bhi yahi lutf-e-zindagi bhi yahi khuda kare ki na ho khatm imtihan apna