zist meri azab ho jaise maut dilkash gulab ho jaise misl-e-auraq hain sabhi insan aur duniya kitab ho jaise shauq se kha rahe hain sab haiwan ek murda kabab ho jaise aankh dharti ki surkh hone lagi nur-e-anjum sharab ho jaise kab se shoalon pe so raha tha magar ab bhi wo nim-khwab ho jaise pankhudi phul ki hai pazhmurda baad zer-e-itab ho jaise mil nahin sakti tum ko sairabi abr 'qudsi' sarab ho jaise