na zikr-e-ashna ne qissa-e-begana rakhte hain

na zikr-e-ashna ne qissa-e-begana rakhte hain
hadis-e-yar rakhte hain yahi afsana rakhte hain

chaman mein sarw-qad gar jalwa-e-mastana rakhte hain
ba-rang-e-tauq-e-qumri hum khat-e-paimana rakhte hain

khayal aankhon ka teri jabki ai jaanana rakhte hain
to jun nargis har ek angusht bar paimana rakhte hain

numayan zulf ke halqe mein kar tuk khal-e-ariz ko
ki hain sayyaad jitne dam mein wo dana rakhte hain

ba-juz-aina mashuqon ki kab ho zulf-pardazi
ki aks-e-panja-e-mizhgan se dast-e-shana rakhte hain

bajae halqa-e-kakul hain khal-e-ru-e-said-afgan
ba-chashm-e-dam ja-e-mardumuk yan dana rakhte hain

bisan-e-chob-o-naqqara hain khar o aabla-pai
ba-wadi-e-junun-angez naubat-khana rakhte hain

nahin ashk-e-musalsal ye gareban-gir ai saqi
gale mein apne aashiq subha-e-sad-dana rakhte hain

sada-e-ashnai misl-e-hamdam ho so wo jaane
ki misl-e-bansuri angusht-bar har khana rakhte hain

na uljho is qadar be-wajh suljhane mein zulfon ke
dil-e-sad-chaak to hum bhi ba-rang-e-shana rakhte hain

dil apna kyun na ho bahr-e-jahan mein jun guhar kala
talash-e-ab hai hum ko na fikr-e-dana rakhte hain

na kyunkar bazm mein raushan ho apni shab ye dil-sozi
ki ulfat shama-ru se hum bhi jun parwana rakhte hain

bahaar aai hai ab to ai junun ho silsila jumban
ki hum muddat se qasd-e-raftan-e-virana rakhte hain

nigah tuk abru-o-chashm-e-butan par kijiyo zahid
ki ye mehrab-e-masjid ke tale mai-khana rakhte hain

bithaen sarw-o-shamshad apne sar par kyun na qumri ko
tere qad ke hain bande waz-e-azadana rakhte hain

thikana kuchh na puchho hum se tum khana-ba-doshon ka
jahan jun bu-e-gul thahre wahin kashana rakhte hain

hamein mat chhed kar dekho rulao aur jalao tum
ki tufan chashm mein sine mein aatiash-khana rakhte hain

karenge baiat-e-dast-e-subu pir-e-mughan tujh se
ki shauq-e-sharb-e-mai hai mashrab-e-rindana rakhte hain

'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain

'nasir' us shokh se kahna ki pesh-e-chashm-e-hairat mein
tasawwur roz-o-shab tera hum ai jaanana rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close