qarya-e-jaan mein koi phul khilane aae wo mere dil pe naya zakhm lagane aae mere viran darichon mein bhi khushbu jage wo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aae us se ek bar to ruthun main usi ki manind aur meri tarah se wo mujh ko manane aae isi kuche mein kai us ke shanasa bhi to hain wo kisi aur se milne ke bahane aae ab na puchhungi main khoe hue khwabon ka pata wo agar aae to kuchh bhi na batane aae zabt ki shahr-panahon ki mere malik khair gham ka sailab agar mujh ko bahane aae