suraj ki tarah qariya-e-mahtab mein aaya raat ek ajab shakhs mere khwab mein aaya kya lahr thi jo mujh ko laga aai kinare kis mauj se phir halqa-e-girdab mein aaya ye shahar to sahraon ki sarhad pe basa tha kaise ye kharaba kaf-e-sailab mein aaya ek yaad se raushan hue diwar-o-dar-o-baam kham ek nai tarah ka mehrab mein aaya pahle to dhanak-rang mein duba ufuq-e-jaan phir manzar-e-hijran bhi tab-o-tab mein aaya ek shakhs ki yakta tha darida-dahni mein zikr us ka magar pyar se ahbab mein aaya