rah rah ke teri yaad satae to kya karun tera khayal dil se na jae to kya karun waiz agar qusur hai kar le malamaten aankhon se koi dil mein samae to kya karun mana ki hai sharab ka chhuna haram par hathon se apne koi pilae to kya karun kashana apne dil ka mujhe bhi aziz hai barq-e-nazar se koi jalae to kya karun hai khauf agarche aah mein ifsha-e-raaz ka be-sakhta nikal hi jo aae to kya karun ye mausam-e-bahaar nau-phulon ka ye nikhaar khwabida aarzu ko jagae to kya karun ye to nahin 'jalal' mere bas ka rog hai diwana koi mujh ko banae to kya karun